Jo hamare maal (jaise Khums, etc) mein se kuchh bhi khayega wo apne peyt ko aatish (aag) se bharega aur Jahannum ke sholo'n (flames) mein jalega.
Guftaar e Dil Nasheen
RASOOL-E-KHUDA(S.A.W.S)
Yaqeenan har ummat ki ek aazmaish hai aur meri ummat ki aazmaaish maal o daulat hai.
Hadiyat ush Shia, p34
IMAM SADIQ(A.S)
Jo shakhs apne mutalliq ye tasawwur kare ke main doosro'n se afzal hoo'n to aisa shakhs mutakabbir (ghamandi) hai.
Tafseer Noor us Saqlain, v3, p426
RASOOL-E-KHUDA(S.A.W.S)
Qayamat ke din Ulema ki raushnaayi (ink) ko Shohda ke khoon se tola jayega. Oos waqt Ulema ke qalam ki raushnaayi ka wazn Shohda ke khoon se zyada hoga.
GUFTAARE DIL NASHEEN PG.17
RASOOL-E-KHUDA(S.A.W.S)
Aye logo'n! Main tumhare darmiyaan 2 ahem cheezein chhor raha hoo'n, ek Kitaab e Khuda aur doosri mere Ahlebait (as), agar tum ne unka daaman pakde rakha to kabhi gumraah na honge.
HADEES-E-SAQLAIN
HOLY QURAN
Kya in logo'n ko nahi maalum ke yaqeenan Allah hi bando'n ki Tauba qubool karta hai aur Wohi khairaat bhi leta hai.
Surah Tauba, Ayat 104
RASOOL-E-KHUDA(S.A.W.S)
Yahood o Nasara par to Salaam karo, lekin bhang-khor (nashe-wali cheez ka istemaal karne wale) par Salaam na karo.
Meezan ul Hikmah, v3, p44
IMAM ALI(A.S)
Chugal-khor ki baat ko fauran na maan liya karo kyun ki chugal-khor khotta aadmi hota hai, chaahe wo khair-khwaho'n jaisa huliya hi bana le (even though his appearance may be like of well-wishers)
Meezan ul Hikmah, v6, p106
IMAM ALI(A.S)
Mujhe is duniya se kya kaam, jiske Halaal mein hisaab hai aur Haraam mein azaab hai
Aqwaal e Masoomeen (as), p94
IMAM BAQIR(A.S)
Khuda Wande Aalam La'nat karne walo'n, gaaliyaa'n dene walo'n, aur Momino'n par ta'an (o tanz) (insult / taunt) karne waalo'n ko dushman rakhta hai.